hrithik roshan kaho na pyaar hai lyrics
Share |
Hrithik Roshan: Kaho Na Pyaar Hai Lyrics1. Kaho naa pyaar hai   udit narayan, alka yagnik
2. Na tum jano na hum   lucky ali, ramya
3. Pyaar ki kashti mein   udit narayan, alka yagnik
4. Janeman janeman   asha bhosle
5. Chand sitare   kumar sanu
6. Sitaron ki mehfil   babul supriyo
7. Kaho naa pyaar hai (sad)   udit narayan
8. Believe in love –theme
9. Ek pal ka jeena   lucky ali
Facts & Figures
Interviews
Be happy, make others happy is my mantra
 Kaho Na Pyaar Hai

I..Love..You
Dil mera har baar yeh sunne ko bekaraar hai
Kaho na...pyar hai, kaho na....pyar hai
Haan tumse pyar hai, ki tumse pyar hai
In pyari baaton mein, anjaana ikraar hai
Kaho na...pyar hai, kaho na..pyar hai
Kahan na...pyar hai, kahan na...pyar hai
Pyar jahan mein hota nahin phir bolo kya hota?
Duniya mein dil koi, kabhi na, dhadka hota,
Dhadka hai dil, aa yaar mil, ye pyar ka izhaar hai
Kaho na..pyar hai, kaho na...pyar hai
Do premi, do pagal, kya karte hain bolo?
Ra..ri.ra..ra..ri..ra
Ra..ri.ra...ra..ri..ra
Do premi, do pagal, kya karte hain bolo?
Mujhse kya poochte ho, apne dil ko tatolo
Maloom hai humko tumhe, kis baat ka intezaar hai
Kaho na..pyar hai, kaho na...pyar hai
Kaha na..pyar hai, kaha na..pyar hai
Milte nahin hum tum to, phir bolo kya hota?
Sach boloon, phir apna, khwab na poora hota
Kehta hai mann, apna milan, duniya mein yaadgaar hai
Kaho na...pyar hai, kaho na..pyar hai
Kaha na...pyar hai, kaha na..pyar hai
In pyari baaton mein, anjaana ikraar hai,
Kaho na..pyar hai, kaho na..pyar hai
Kaha na...pyar hai, kaha na...pyar hai
Haan tumse pyar hai, ki tumse pyar hai
 Na Tum Jaano Na Hum

Kyun chalti hai pawan, kyun jhoome hai gagan,
Kyun machalta hai mann, na tum jaano na hum
Kyun aati hai bahaar, kyun lutatta hai karaar,
Kyun hota hai pyaar, na tum jaano na hum
Yeh madhoshiyan, yeh tanhaiyan, tasaboor mein hai kis ki parchaiyan
Yeh bheega sama, umange jawan, mujhe ishq le ja raha hai kahan,
Kyun gum hai har disha, kyun hota hai nasha,
Kyun aata hai mazaa, na tum jaano na hum
Dhadakta bhi hai, tadapta bhi hai,
Yeh dil kyun achanak behakta bhi hai,
Mehekta bhi hai, chehekta bhi hai,
Yeh dil kya wafa ko samajhta bhi hai
Kyun milti hai nazar, kyun hota hai asar,
Kyun hoti hai saher, na tum jaano na hum
Kyun chalti hai pawan, kyun jhoome hai gagan,
Kyun machalta hai mann, na tum jaano na hum
 Pyar Ki Kashti

Haiyahoo - haiyahoo - haiyahoo
Pyaar ki kashti mein, lehron ki masti mein,
Pawan ke shor shor mein, chale hum zor zor mein,
Gagan se door..
Gagan se door...
Wahan kya pyar milega, chaman ka phool khilega,
Jise dil dhoondh raha hai, kya woh dildar milega
La - la - la - la
La - la - la - la
Wahan sach honge sapne, banenge gair bhi apne,
Dil ki baraat sajegi, milenge saajan apne
La - la - la - la - la
Maine suna,
Kya suna?
Jo kaha,
Kya kaha?
Jaana hai bahut door..
Pyaar ki kashti mein, lehron ki masti mein,
Pawan ke shor shor mein, chalen hum zor zor mein,
Gagan se door...
Pyaar ko pyaar mile to, nazar kahin lag na jaaye,
Mile jeewan mein hum tum, kahi phir bichad na jaayen
L - l - l - la - la - la
Nazar kya lage wahan par, hai pyaar hi pyaar jahan par,
Na bichde milne wale, jahan hon sab dil wale
L - l - l -la -la - la
To chalo chale,
Haa chalen,
Yun milke,
Haan milke, hoke khushi mein choor,
Pyar ki kasti mein, lehron ki masti mein,
Pawan ke shor shor mein, chalen hum zor zor mein,
Gagan se door...
Ho rama ho..ho rama ho...haihahoo..haihahoo...haihahoo
 Jaaneman Jaaneman

Aa - aa - aa - aa
Aa - aa - aa - aa
Jaaneman, jaaneman, palat teri nazar,
Yahan hai dil tera, dekhta hai kidhar
Mila le dil se dil, pyar se pyar kar,
Udhar to raat hai, savera hai...idhar
Jaaneman, jaaneman...jaa..ne..man
Teri jawani ke sadke,
Jaaneman - jaaneman
Hum bhi haseen kam nahin
Jaaneman - jaaneman
Hum bhi haseen kam nahin,
Jaaneman - jaaneman
Arre teri jawani ke sadke,
Jaaneman - jaaneman
Teri judaai ka gam hai, warna gam koi nahin....
Bahut chalaak hai, ban raha bekhabar,
Pyar ke jadoo ka, ho raha hai asar
Jaaneman, jaaneman, palat teri nazar,
Yahan hai dil tera, dekhta hai kidhar
Jaaneman - jaaneman
A - o - o
A - o - o
A - o - o
Tere liye hi bani hoon,
Jaaneman - jaaneman
Main sab mein shaamil nahin
Jaaneman - jaaneman
Haan tere liye hi bani hoon.
Jaaneman - jaaneman
Main sab mein shaamil nahin
Jaaneman - jaaneman
Dil se zara pooch apne, kya mein tera dil nahin
Naya hai silsila, naya hai yeh safar,
Nayee hain manzilen, magar hai ek dagar
Jaaneman - jaaneman
Jaaneman, jaaneman, palat teri nazar,
Yahan hai dil tera, dekhta hai kidhar
Mila le dil se dil, pyar se pyar kar,
Udhar to raat hai, savera hai....idhar
Jaaneman, jaaneman, jaa..ne..man
Jaaneman - jaaneman jaaneman - jaaneman jaaneman - jaaneman
 Chaand Sitare

Chand sitare, phool aur khushboo, yeh to saare purane hain
Taaza taaza kali khili hai, hum uske deewane hai
Hun - hun hun-hun hun hun-hun
Kaali ghatayen, barkha sawan, yeh to sab afsaane hai
Taaza taaza kali khili hai, hum uske deewane hai
Andaaz hain uske naye naye, hai naya naya deewanapan
Pehena ke taaz jawani ka, haske laut gaya bachpan
Geet ghazal sab kal ki baatein, uske naye tarane hai
Taaza taaza kali khili hai, hum uske deewane hai
Hai roop mein itna saadapan, to kitna sunder hoga mann
Bin gehne aur shringaar bina, woh to lagti hai dulhan
Arre kajal bindiya, kangan jhumke, yeh to guzre zamane hain
Taaza taaza kali khili hai, hum uske deewane hai
Hun hun- hun hun hun-hun
Oh - oh - oh oh
La - la - la - la
 Sitaron Ki Mehfil

Sitaaron ki mehfil mein goonjega tarana,
Ki hothon pe aaya hai dil ka phasana,
Arre dil ne, dil ko pukara....
Lo main aaya, milne dubara....
Manzil....pyar tumhara, mein hoon sagar, tum ho kinara,
Ajab shaam hai yeh pyar ki, pehlu mein sabke yaar ki,
Ajab raat hai jajbat ki, dil mein pyaar hi pyaar hai
Yeh pyaar tumhara, yeh pyaar hamara, hai khoob nazara
Zamana usi ka hai sara zamana,
Ki jisne bhi seekha pyar nibhana,
Arre dil ne, dil ko pukara....lo mein aaya, milne dubara...
Kadam aaye hain, us mod pe, hum tum hain yahan samne,
Nazar se nazar, bharne ab lagi, baatein badhe hi, raaz se,
Yeh raaz tumhara, yeh raaz hamara, kare hai kya ishaara....
Nishane pe dil hai, ki dil pe nishana,
Deewana hai apni hi, dhun mein deewana,
Arre dil ne, dil ko pukara....
Lo main aaya, milne dubara
 Ek Pal Ka Jeena

Ek pal ka jeena, phir to hai jaana,
Tohfa kya le ke jaiye, dil ye batana
Khali haath aaye the hum, khali haath jaayenge,
Bas pyar ke do meethe bol, jhil milayenge,
To hans..kyun ki duniya ko hai hasana
Aye mere dil tu gaaye ja..
A aye.... aa a..aaye....aa
Oh..aankhon mein dilbar ka sapna bhi hai, haan koi sapna bhi hai
Oh...duniya mein tera koi apna bhi hai, han koi apna bhi hai
Ek chehra khaas hai, jo dil ke paas hai,
Hothon pe pyaas hai, ek milne ki aas hai,
Dilbaro ka magar, kahan koi thikana
Aye mere dil tu gaaye ja
A aye... Aa..a..aaye ...aa
Oh..jeewan khushiyon ka ek, jhoka sa hai,
Haan koi jhokha sa hai
Oh..aur yeh jhonka ek, dhokha sa hai, haan koi dhokha sa hai
Yeh kaisi hai khushi, jal jal ke jo bujhi,
Bhujh bhujh ke jo jali, milke bhi na mili
Doston par kisi haal mein na ghabrana, aye mere dil tu gaaye ja
A aaye....aa a..aaye....aa


Hrithik Roshan
This website is created and designed by Atlantis International, 2011
This is an unofficial website with entertainment purpose and is in no way affiliated with Hrithik Roshan, his related companies, or his managements. No copyright infringment is intended.  Homepage   XML Sitemap   HTML Sitemap   RSS Feeds
Mail Us